Baahon me sameta tha jab
Meri aankhon me dekh ke kya socha hoga tumne
Maatha chooma tha jab
Aankhein band kar ke kya mehsoos kiya hoga tumne
Jab sar apna seene se mere lagaya tha tumne
Kya dil ki dhadkane tumhari bhi tez hui thi ?
Jab god me rakha tha sar apna
Sach kaho uthne ka man to nahi raha hoga tumhara
Jab lagaya tha gale se aakhiri baar
Ye jaante hue ki dehleez meri dobara kabhi nahi paar karoge
Dil tumhara bhi dukha tha na ?
Aankhon me aansu tumhare bhi aaye the na ?
Jhoot nahi bol paaye the par sach bhi sambhal nahi paaye the na ?
Yaad dilane ki koshish kar rahi hun khud ko har wo lamha
Jo bitaya tumhare sath tha
Hamari poori kahani ka ek lauta hissa
Jo sach me sach tha..
Kyunki…
Mai tumhe bhool rahi hun
Aur mai tumhe bhulna nahi chahti
Tum mere kabhi the bhi nahi
Aur mai tumhe khona nahi chahti
Mai tumhe bhool rahi hun
Par mai tumhe bhoolna nahi chahti..